Hadees-e-Nabawi
Allah ke Rasool (sa) ne farmaya: Mere sab ummati Jannat mein dakhil honge, magar jis ne mera inkar kiya. Sahaba-e-Kiram ne arz kiya: Ya Rasool Allah (sa) Aap ka kaun inkar karega?” Aap (sa) ne farmaya: Jis ne meri ita’at ki woh Jannat mein dakhil hoga, aur jis ne meri nafarmani ki us ne mera inkar kiya.

Download Now
Ita’at-e-Rasool ki Ahmiyat
Yeh hadees e Mubarakah ita’at Rasool ki azmat ko wazeh karti hai ke asal kamyabi aur nijat Rasool ullah Sallallahu alaihi wasallam ki Pairwi mein hai. Har Musalman Jannat ka talabgar hota hai, aur Allah Ta’ala ki raza hasil karne ka Khwahishmand hota hai. Lekin Allah ki raza usi waqt hasil hoti hai jab banda Nabi Kareem (sa) ke tareeqe ko apnaye aur unki hidayat par amal kare.
Ita,at-e-Rasool-ki-Haqeeqat
Ita’at-e-Rasool sirf chand ibadaton ka naam nahin. balke zindagi ke har pehlu me ita’ate Rasool hona chahiye. Namaz, roza, zakat aur hajj ke saath saath walidain ke saath husn-e-sulook karna, padosiyon ke huqooq ada karna, sach bolna, ,insaf se kaam lena, amanat main khiyanat na karna, chori na karna, jhoot na bolna, a sab ita’at-e-Rasool ka hissa hain. Nabi (sa) ki zindagi saari insaniyat ke liye behtareen namoona hai. Jo shakhs bhi aap (sa) ki sunnat par chalta hai woh duniya aur aakhirat dono mein kamyab hota hai.
Rasool ullah (sa) ki nafarmani ka anjam
Is hadees mein allah ke nabi (sa) ki nafarmani ko inkar ke qareeb qarar diya gaya hai. Is ka matlab yeh nahin hai ke har gunah karne wala Aadmi kafir ho jayega, balki matlab yeh hai ke jo shakhs jaan boojh kar Nabi (sa) ki nafarmani karega aur un ki hidayat ko nazar andaz karega, woh apne aap ko Jannat ke raste se door kar lega. Is liye har Musalman ko apne aamaal ka muhasaba karte rehna chahiye aur dekhte rehna chahiye ke us ki zindagi kahin Nabi (sa) ki taleemat aur un ki hidayat ke Khilaf to nahin guzarrahi hai.
Ita,at-e-rasool-mein-hi-kamiyabi-hai
Aaj ke daur mein jahan har jagah gumrahi ke asbab paida ho chuke hain, aur tarah tarah se iman ko kamzor karne ki sazishein ki ja rahi hain, aise waqt mein hamein Qur’an-o-Sunnat ko mazbooti se thaam lena chahiye. Hamari kamyabi kisi shakhsiyat, riwayat ya duniyawi asbaab mein nahin, balkeh Allah aur us ke Rasool (sa) ki ita’at mein hai. Agar hum Nabi (sa) ki kamil ittiba karne wale ban jayein, to duniya hamare qadam choomegi aur aakhirat mein hum kamyab hokar rahenge.
Allah Ta’ala hamein sari zindagi nabi (sa) ki kamil ittiba karne wala banaye. Ameen.
Yeh Bhi Parhein: Mazeed islamic cards aur Ahadees Parhne ke liye hamari Ebadaat ki categorie ko zaroor check karein.
